Roz Nahum Māh-e-Muḥarram
Roz-e-Tāsū'ā jis ke baare mein Imam Sadiq a.s. se riwayat hai ke Tāsū'ā woh din tha jab fauj-e-Yazīd ne Imam Husain a.s. aur un ke aṣḥāb ka muḥāṣara kar liya aur Aap se jang karne par aamāda ho gayi aur Ibn-e-Marjānah aur 'Umar Sa'd apni kasrat-e-sipāh ki binā par khush hue jo un ke liye jama' hui thi aur Imam Husain a.s. aur un ke aṣḥāb ko kamzor samjha gaya aur yaqeen kar liya gaya ke ab koi madadgār Imam aane waala nahin hai aur 'Irāq waale un ki madad nahin karenge. Is ke baad farmaya "Mere baap qurbaan ho jaayen us kamzor musāfir par."