Tezi-e-Zehn aur Quwwat-e-Haafizah ki Namaaz
Makaarim-ul-Akhlaaq meiñ Ṣaadiqain 'alayhimassalaam se riwaayat hai ke za'faraan se paak wa saaf bartan meiñ Ḥamd, Aayat-ul-Kursi aur Innā Anzalnāhu wa Yā Sīn wa Wāqi'ah, Surah Ḥashr wa Tabārak wa Qul Huwa Allāh wa donon Qul A'ūdh likh kar aab-e-zamzam ya baarish ya shaffaaf paani se dho kar.
Us paani meiñ do misqaal kundur aur das misqaal shehed milaa kar raat ko zer-e-aasmaan rakh kar us ke oopar loha rakh do. Jab raat ka aakhiri hissah aa jaaye to do rak'at namaaz paṛho aur har rak'at meiñ Ḥamd aur pachchaas martaba Qul Huwa Allāh paṛho.
Phir jab namaaz se faarigh ho jaa'o to woh paani pi lo. Ḥaafizah ke liye bahut 'umdah aur mujarrab hai. Insha-Allah baab shashum ke aakhir meiñ chand cheezeñ aur bayaan hoñ gi jin se ḥaafizah qawi hota hai.