15. Woh du'a jo Imam Baqir 'alayhissalaam se Abu Hamzah Thumaali ne riwaayat ki hai ke maiñ ne Hazrat Imam Muhammad Baqir 'alayhissalaam se un ki khidmat meiñ haaziri ki ijaazat talab ki.
Hazrat ghar se baahar tashreef laa'e. Aap ke honṭh harakat kar rahe the.
Farmaaya kya tum ne mujhe kuch paṛhte hu'e dekha hai? Maiñ ne 'arz ki maiñ aap par qurbaan beshak.
Farmaaya maiñ ne woh paṛha hai jis ko kisi ne nahiñ paṛha magar yeh ke Khuda-e-'Alam ne us ke dunya wa aakhirat ke ahem kaamoñ meiñ us ki kifaayat ki hai.
Maiñ ne 'arz ki ke maiñ aap 'alayhissalaam par fidaa ho jaa'ūñ farmaa'iye woh kya hai? Farmaaya ke jo shakhs ghar se nikalte hu'e yeh kalimaat paṛhe ga us ke tamaam ahem kaam aasaan ho jaayeñ ge.