20. Shaykh Kulaini rahmatullahi 'alayhi ki kitaab Ta'beer-ur-Riyaa se manqool hai ke Wisha'a ne Hazrat Imam Riza 'alayhissalaam se riwaayat ki hai ke unhoñ ne farmaaya ke maiñ ne apne waalid ko khwaab meiñ dekha ke unhoñ ne farmaaya ke Beṭaa jab kisi mushkil meiñ giraftaar ho to kasrat ke saath kaho:
يَا رَؤُوْفُ يَا رَحِيْمُ
Ay Meherbaan, Ay Reham waale!
Phir Imam Riza 'alayhissalaam ne farmaaya ke jo kuch ham khwaab meiñ dekhte hain woh bilkul aisa hi hai jaisa bedaari meiñ dekhte hain.