Khwaas-e-Surah Qadr, Tauheed aur Aayat-ul-Kursi
2. Is kitaab meiñ hai ke Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne farmaaya ke jo shakhs Surah Baqarah ki ibtidaa'i chaar aayateiñ aur Aayat-ul-Kursi aur us ke ba'd ki do aayateiñ aur Surah Baqarah ki aakhri teen aayaat padhe ga woh apni jaan wa maal ke baare kisi naa-pasandeedah cheez ko na dekhe ga aur Shaytaan us ke nazdeek na aayega aur woh Quraan ko faraamosh na kare ga.
3. Imam Muhammad Baqir 'alayhissalaam se riwaayat hai ke jo shakhs Surah Innaa Anzalnaahu ka buland aawaaz se paṛhe ga to woh aise shakhs ki tarah hai jis ne Raah-e-Khuda meiñ niyaam se talwaar nikaal kar jihaad kiya ho aur agar aahista paṛhe to goya aisa hai ke Khuda ki raah meiñ apne khoon meiñ nahaaya hu'a hai aur agar koi das martaba paṛh le ga to Khuda-e-'Alam us ke hazaar gunaah mahw kar de ga.