EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Bismillaah ko darwaaze par likhne ki fazeelat
30. Shaykh Kaf'ami rahmatullahi 'alayhi ne Mafaateeh-ul-Ghayb se naql kiya hai ke jo shakhs Bismillaah ko apne ghar ke baahiri darwaaze par likhe woh halaakat se mehfooz rahe ga chaahe woh kaafir hi kyuñ na ho.
Aur kuch logoñ ne yeh kaha hai ke Khuda-e-'Alam ne Fir'aun ko khudaa'i ke da'wa ke baa-wajood mohlat nahiñ kiya ke us ne apne darwaaze par "Bismillaah" likh rakha tha.
Aur jab Janab-e-Moosaa 'alayhissalaam ne us ki halaakat meiñ jaldi karne ki du'a ki to Parwardigaar-e-'Alam ne un ki taraf waḥi ki ke tum us ke kufr ko dekh rahe ho aur maiñ us ke darwaaze par likhi tehreer ko dekh raha hooñ.