EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Bismillah Aur Laa Hawla Wa Laa Quwwata Ki Fazeelat
7. Sayyid bin Taa'oos (R.A.) ne mo'tabar sanad ke saath Hazrat Imam Raza (A.S.) se riwaayat ki hai ke jo shakhs Namaaz-e-Subh ke ba'd sau martaba kahe:
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Khuda ke naam se jo bada reham karne wala Meherbaan hai
لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِىِّ الْعَظِيْمِ۔
Nahin koi taaqat o quwwat magar jo Khuda-e-Buland o Buzurg se hai.
To woh is Ism-e-A'zam se us se qareeb hoga jitni aankh ki siyaahi safedi se qareeb hoti hai aur mo'tabar sanadon se Imam Ja'far Sadiq (A.S.) aur Imam Kazim (A.S.) se manqool hai ke jo Namaaz-e-Subh aur Maghrib ke ba'd kisi se baat karne aur apni jagah se harkat karne se pehle saat baar yeh du'a padhega usse sattar tarah ki balaaen door ho jaayengi jin mein sabse aasaan balaa bars, juzam, shar-e-shaitaan aur baadshaahon ka shar hai.
Ba'z mo'tabar riwaayaat mein teen baar aur ba'z mein das baar bhi zikr hua hai aur iski kam az kam ta'daad teen baar aur zyada se zyada sau (100) martaba hai. Iske ba'd jitna zyada padhega sawaab bhi utna zyada hoga.