EN ุงุฑุฏูˆ RO AZ
๐ŸŒ
English ุงุฑุฏูˆ Roman Azerbaijani
๐Ÿ  ๐Ÿ”
โš™
Janaazah dekhte waqt ki du'a
Hazrat Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se manqool hai ke jo shakhs bhi koi janaazah dekhe yeh du'a padhe: to aasmaan par koi aisa farishta baaqi nahiรฑ rehta jo us par rahm khaa kar giryah na kare.
ุงูŽู„ู„ู‡ู ุงูŽูƒู’ุจูŽุฑู
Khuda Buzurgtar hai.
ู‡ูฐุฐูŽุง ู…ูŽุง ูˆูŽุนูŽุฏูŽู†ูŽุง ุงู„ู„ู‘ูฐู‡ู ูˆูŽ ุฑูŽุณููˆู’ู„ูู‡ู
Yahi woh cheez hai jiska Allah o Rasool (S.A.W.) ne hum se wa'ada kiya
ูˆูŽ ุตูŽุฏูŽู‚ูŽ ุงู„ู„ู‘ูฐู‡ู ูˆูŽ ุฑูŽุณููˆู’ู„ูู‡ู
Allah aur uske Rasool (S.A.W.) ne sach farmaaya
ุงูŽู„ู„ู‘ูฐู‡ูู…ู‘ูŽ ุฒูุฏู’ู†ูŽุง ุงููŠู’ู…ูŽุงู†ู‹ุง ูˆูŽ ุชูŽุณู’ู„ููŠู’ู…ู‹ุง
Ay Ma'bood! Hamaare Imaan o tasleem mein izaafa kar
ุงูŽู„ู’ุญูŽู…ู’ุฏูู„ูู„ู‘ูฐู‡ู ุงู„ู‘ูŽุฐูู‰ู’ ุชูŽุนูŽุฒู‘ูŽุฒูŽ ุจูุงู„ู’ู‚ูุฏู’ุฑูŽุฉู
Hamd hai Allah ke liye jo apni qudrat se ghaalib hua
ูˆูŽ ู‚ูŽู‡ูŽุฑูŽ ุงู„ู’ุนูุจูŽุงุฏูŽ ุจูุงู„ู’ู…ูŽูˆู’ุชู
Aur maut ke zariye bandon par haawi hua.
Hazrat Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se manqool hai ke janaazah uแนญhaate waqt yeh du'a padhe:
ุจูุณู’ู…ู ุงู„ู„ู‘ูฐู‡ู ูˆูŽ ุจูุงู„ู„ู‘ูฐู‡ู
Khuda ke naam se Khuda ki zaat se
ุงูŽู„ู„ู‘ูฐู‡ูู…ู‘ูŽ ุตูŽู„ู‘ู ุนูŽู„ูฐู‰ ู…ูุญูŽู…ู‘ูŽุฏู ูˆูŽ ุงูฐู„ู ู…ูุญูŽู…ู‘ูŽุฏู
Khoodaya rehmat naazil farma Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par
ูˆูŽุงุบู’ููุฑู’ ู„ูู„ู’ู…ูุคู’ู…ูู†ููŠู’ู†ูŽ ูˆูŽ ุงู„ู’ู…ูุคู’ู…ูู†ูŽุงุชู
Aur Momineen aur Mominaat ko bakhsh de
ุงูŽู„ู’ุญูŽู…ู’ุฏู ู„ูู„ู‘ูฐู‡ู ุงู„ู‘ูŽุฐูู‰ู’ ู„ูŽู…ู’ ูŠูŽุฌู’ุนูŽู„ู’ู†ูู‰ู’ ู…ูู†ูŽ ุงู„ุณู‘ูŽูˆูŽุงุฏู ุงู„ู’ู…ูุฎู’ุชูŽุฑูŽู…ู
Riwaayat meiรฑ hai Hazrat Imam Zain-ul-'Aabideen 'alayhissalaam har janaazah ko dekh kar yeh du'a padhte the:
Hamd hai Allah ke liye jisne mujhe halaak hone waale giroh mein nahin rakha.
Waazeh rahe 'auratoรฑ ke liye tashye'-e-janaazah sunnat nahiรฑ hai. Aur ba'z logoรฑ ne kaha hai ke janaazah ko bahut tez le kar chalna bhi makrooh hai.
Fazeelat-e-Tashye'-e-Janaazah
Jo shakhs tashye'-e-janaazah meiรฑ shaamil hai us ke liye fuzool baateiรฑ karna aur haรฑsna bhi makrooh hai aur 'Allamah Majlisi rahmatullahi 'alayhi ne Hilyat-ul-Muttaqeen meiรฑ farmaaya hai ke Hazrat Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se manqool hai ke jo shakhs Namaaz-e-Janaazah paแน›hta hai us par sattar hazaar farishtay namaaz padhte hain aur us ke guzrishtah gunaah bakhsh diye jaate hain. Aur agar woh us ke dafn hone tak saath rahe to use har qadam ke badle ek qeerat sawaab diya jaaye ga aur qeerat Koh-e-Uhud ke baraabar hota hai aur doosri hadees meiรฑ farmaaya ke jo mo'min bhi kisi ki Namaaz-e-Janaazah paแน›hta hai us par Jannat waajib ho jaati hai magar yeh ke munaafiq ya walidain ka 'aaq shudah ho.