Namaaz-e-Tahajjud Ki Fazeelat
Yaad rahe ke Namaaz-e-Shab ki fazeelat aur uske liye raat ko neend se bedaar hone ke liye A'imma Alaihimus Salaam se bahut si riwaayaat waarid hui hain jin mein yeh saraahat hai ke yeh Mo'min ka sharaf hai. Is Namaaz se insaan sehet-mand rehta hai aur yeh din ke gunaahon ka kaffaara aur wahshat-e-qabr ko door karne ka zariya hai. Chehre ko nooraani, boo ko achcha banati hai aur rozi mein izafa karti hai aur jis tarah maal wa aulaad dunyawi zindagi ki zeenat hain isi tarah aath rak'at Namaaz-e-Shab, Namaaz-e-Witr ke saath aakhirat ki zeenat hain.
Aur kabhi kabhi Khudaawand-e-Aalam in dono ko jama' kar deta hai aur jo shakhs yeh kahe ke woh Namaaz-e-Shab padhta hai aur din mein bhooka rehta hai woh jhoota hai kyunke Namaaz-e-Shab din ke rizq ki zaamin hai. Hazrat Imam Ja'far Sadiq Alaihis Salaam se riwaayat hai ke Rasool-e-Khuda (S.A.W.) ne Hazrat Ali (A.S.) se yeh riwaayat farmaayi ke: Aye Ali (A.S.)! main tumhare nafs ke baare mein chand cheezon ki wasiyyat kar raha hoon lehaza un par amal ke zariye unhein mehfooz rakhna.
Is ke ba'd farmaya Parwardigaar inki madad farma. Is ke ba'd chand cheezein bayaan keen aur farmaya Wa A'laika Bi Salaat-il-Lail.
Zaahir yeh ke Hazrat (S.A.W.) ne Namaaz-e-Shab se tehrah (13) rak'at Namaaz muraad li hai aur Namaaz-e-Zawaal se muraad woh aath rak'at Naafila jo zawaal ke waqt padhi jaati hai muraad liya hai aur Anas se riwaayat hai ke maine suna hai ke Rasool-e-Akram (S.A.W.) ne farmaya ke raat ke sannate mein do rak'at Namaaz padhna mere nazdeek duniya aur iski tamaam cheezon se behtar hai aur riwaayat mein hai ke Imam Zain-ul-Aabideen (A.S.) se sawaal kiya gaya hai ke kya wajah hai ke jo log Namaaz-e-Shab padhte hain unke chehre doosron se zyada nooraani hain?
Farmaya ke log apne Parwardigaar se tanhayi mein raaz wa niyaaz ki baatein karte hain aur isi bina par woh unhein apne noor ki chaadar odhaa deta hai aur is baare mein beshumaar riwaayaat hain ke raat ko is Namaaz ke liye na uthna makrooh hai.
Aur Shaikh (R.A.) ne saheeh sanad ke saath Hazrat Imam Ja'far Sadiq (A.S.) se riwaayat ki hai ke Aap (A.S.) ne farmaya ke koi shakhs aisa nahi hai jo har raat ek ya chand martaba bedaar na hota ho to uth gaya to uth hi gaya aur agar nahi utha to Shaitaan uske kaan mein peshaab kar deta hai.
Kya tum nahi dekhte ho ke jo shakhs Namaaz-e-Shab ke liye nahi uthta hai jab subah ko bedaar hota hai woh din uske liye bahut giraan aur mushkil hota hai aur woh sust rehta hai.
Aur Shaikh Barqi (R.A.) ne Imam Muhammad Baqir (A.S.) se mo'tabar sanad ke saath riwaayat ki hai ke Aap (A.S.) ne farmaya ke ek Shaitaan hai jiska kaam yeh hai ke jab koi banda Namaaz-e-Shab ke liye uthna chahta hai to woh kehta hai ke abhi uthne ka waqt nahi hua hai phir jab doosri baar bedaar hota hai aur uthna chahta hai to kehta hai ke abhi waqt nahi hua hai aur isi tarah use musalsal uthne se rokta rehta hai.
Yahan tak ke Tulu'-e-Fajr ka waqt aa jaata hai to uske kaan mein peshaab kar deta hai aur uske haal par chhod deta hai aur apni dum ko hilaate hue apne upar naaz karta hai.
Ibn Abi Jumhoor ne Rasool-e-Khuda (S.A.W.) se naqal kiya hai ke Aap (S.A.W.) ne ek din apne As-haab se farmaya ke jab tum mein se koi sota hai to Shaitaan uske sarhaane teen girhein baandh deta hai aur har girah par likhta hai: "A'laika Lailun Taweelun Farta'id" ya'ni raat lambi hai, aaraam se so jaao.
Phir jab insaan bedaar ho kar Zikr-e-Khuda karta hai to uski ek girah khul jaati hai aur agar Wuzu kar liya to doosri bhi khul jaati hai aur Namaaz padh li to aakhri girah bhi khul jaati hai. Phir jab subah hoti hai to woh ba-nishaat aur paakeeza nafs hota hai aur agar bedaar na ho to khabees-un-nafs aur sust ho jaata hai.
Waazeh rahe ke yeh riwaayat Ahle Sunnat ki kitaabon mein bhi mazkoor hai aur Qutb Raawandi (R.A.) ne Hazrat Ameer-ul-Mo'mineen (A.S.) se riwaayat ki hai ke Aap (A.S.) ne farmaya ke teen cheezon ke ba'd teen cheezon ki ummeed na karo: pait bhar ke khaane ke ba'd raat mein jaagne ki, poori raat sone ke ba'd chehre ko nooraaniyat ki aur duniya se amaan ki. Aur Qutb Raawandi (R.A.) ne hi riwaayat ki hai ke Hazrat Eesa (A.S.) ne Janaab Maryam (A.S.) ke intaqaal ke ba'd unko aawaz di aur kaha: Aye Waalida-e-Giraami mujh se baat keejiye. Kya Aap (A.S.) duniya mein waapas aana chahti hain? Kaha, Haan taa ke Namaaz padhoon Khudaawand-e-Aalam ke liye intehaayi sard raaton mein aur garam dinon mein roza rakhoon. Aye mere noor-e-nazar yeh raat bahut dushwaar hai.