EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaz-e-A'rabi
Sayyid bin Ta'us ra ne Jamaal-ul-Usbu' mein Sheikh Talla'kabari se naql kiya hai ke unhon ne apni sanad ke saath Zaid bin Saabit se riwayat ki hai ke ek baddu khaana badosh ne Rasool (S) Akram mein haazir ho kar kaha ke mere maa baap Aap par qurban.
Aye Rasool (S) Khuda hum gaon mein rehte hain jo Madeene se door hai aur hum har Juma ko namaz-e-Juma mein shirkat nahin kar sakte hain lehaza mujhe koi aisa amal batayein jis ko anjaam dene ke baad Juma ki fazeelat haasil kar sakoon aur jab apne qabile mein wapas jaaun to un ko bhi sikhaun.
Hazrat ne farmaya ke jab din chadh jaye to do raka'at namaz padhna. Pehli raka'at mein Hamd ke baad saat martaba Qul A'uzu bi-Rabbil Falaq aur doosri raka'at mein saat martaba Qul A'uzu bi-Rabbin Naas padhna. Aur salaam ke baad saat martaba Ayat-ul-Kursi padh kar aath raka'at aur padhna do salaam ke saath aur har raka'at ke baad tashahhud padhna magar salaam na padhna aur jab chaar raka'atein mukammal ho jaye to salaam padhna aur doosri chaar raka'atein bhi isi tarah padhna aur har raka'at mein ek martaba Hamd ek martaba Iza jaa'a nasrullahi pachchees 25 martaba Qul Huwallah padhna aur tashahhud wa salaam se faarigh ho kar saat martaba yeh du'a padhna:
يَا حَىُّ يَا قَيُّوْمُ
Ay Khuda jo Zindah hai aur sab usi se qaa'im hain.
يَا ذَاالْجَلَالِ وَالْاِكْرَامِ
Ay Saahib-e-Jalaal o Ikraam,
يَا اِلٰهَ الْاَوَّلِيْنَ وَ الْاٰ خِرِيْنَ
Ay awwaleen o aakhireen ke Ma'bood,
يَا اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ
Sab se ziyadah reham karne waale,
يَا رَحْمٰنَ الدُّنْيَا وَ الْاٰ خِرَةِ وَ رَحِيْمَهُمَا
Ay duniya o aakhirat ke Rahmaan o Raheem
يَا رَبِّ يَا رَبِّ يَا رَبِّ يَا رَبِّ
Ay Parwardigaar, Ay Parwardigaar, Ay Parwardigaar, Ay Parwardigaar,
يَا رَبِّ يَا رَبِّ يَا رَبِّ
Ay Parwardigaar, Ay Parwardigaar, Ay Parwardigaar,
يَا اَللهُ يَا اَللهُ يَا اَللهُ يَا اَللهُ
Ay Allah, Ay Allah, Ay Allah, Ay Allah,
يَا اَللهُ يَا اَللهُ يَا اَللهُ
Ay Allah, Ay Allah, Ay Allah,
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِهٖ
Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma
وَاغْفِرْلِىْ۔
Aur mujhe mu'aaf kar de.
Phir apni haajat talab kar ke sattar martaba kehna:
لَاحَوْلَ وَلَاقُوَّةَ اِلَّا بِاللهِ الْعَلِىِّ الْعَظِيْمِ سُبْحَانَ اللّٰهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْكَرِيْمِ۔
Koi taaqat aur koi quwwat Allah ke baghair nahin hai.
Phir Hazrat ne farmaya ke us Khuda-wand Aalam ke haq ki qasam jis ne mujhe haq ke saath mab'oos kiya hai ke jo momin aur momina roz-e-Juma yeh namaz padhega main us ki Jannat ka zaamin hoon aur woh apni jagah se uthne na payega ke us ke aur us ke walidain ke tamam gunaah bakhsh diye jayenge.
سُبْحَانَ اللّٰهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْكَرِيْمِ۔
Paak hai Allah jo Izzat waale Arsh ka Maalik hai.
Aur Khuda-wand Aalam us ko tamam musalman bastiyon mein us din har namaz padhne walon ke barabar sawaab inayat karega aur isi tarah use mashriq wa maghrib ke darmiyan jis ne bhi namaz ada ki hogi ya roza rakha hoga us ke barabar ajr diya jayega aur Khuda use itna dega jo na kisi aankh ne dekha hoga aur na kisi kaan ne suna hoga.
Sheikh Abbas Qummi ra farmate hain ke Sheikh Tusi ra ne bhi Misbah mein is namaz ko naqal kiya hai lekin un ki namaz mein mazkoora du'a nahin hai balkeh kaha hai jab namaz se farigh ho jaye to sattar martaba yeh kahe:
سُبْحَانَ اللّٰهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْكَرِيْمِ
Paak hai Allah jo Izzat waale Arsh ka Maalik hai.