Nahin koi taaqat o quwwat magar woh jo Buland o Buzurg Khuda se hai
Ma'soomeen Alaihimussalam se riwayat hai ke jo shakhs roz-e-Juma aath raka'at namaz padhe do do raka'at kar ke aur un mein se chaar raka'at namaz Hazrat Rasool (S) Akram ko hadiya kar de aur baqiya chaar raka'at Janab Fatima Salamullah Alaiha ko hadiya kar ke aur roz-e-Shanbah chaar raka'at padhe do salaam ke saath aur unhein Hazrat Ameer-ul-Momineen a.s. ki khidmat mein hadiya kare aur isi tarah har roz chaar raka'at namaz padh kar use ek ek Imam a.s. ko ba-tarteeb hadiya karta rahe yahan tak ke Panjshanbah ko chaar raka'at namaz padh kar Hazrat Imam Ja'far Sadiq a.s. ko hadiya kare phir roz-e-Juma aath raka'at namaz do do raka'at kar ke padhe aur chaar raka'at Hazrat Rasool (S) Khuda ko aur chaar raka'at Hazrat Fatima Salamullah Alaiha ko hadiya kare.
Phir baroz-e-Shanbah chaar raka'at namaz Hazrat Imam Musa Kazim a.s. ki khidmat mein hadiya kare. Isi tarah har roz chaar raka'at namaz padh kar har Imam a.s. ko tarteeb ke saath hadiya kar de aur phir Jume'raat ko chaar raka'at Hazrat Imam-e-Zamana a.s. ko hadiya kare aur har baar in chaar raka'aton ke darmiyan donon namazon ke darmiya yeh du'a padhe:
اَللّٰهُمَّ اَنْتَ السَّلَامُ
Khoodaya tu Salaam hai
وَ مِنْكَ السَّلَامُ
Aur salaamati hai
وَ اِلَيْكَ يَعُوْدُ السَّلَامُ
Aur uski baazgasht bhi teri hi taraf hai.
حَيِّنَا رَبَّنَا مِنْكَ بِالسَّلَامِ
Khoodaya mujhe salaamati ke saath zindah rakh.
اَللّٰهُمَّ اِنَّ هٰذِهِ الرَّكَعَاتِ
Yeh chand raka'atein hain
هَدِيَّةٌ مِنَّا اِلٰى وَلِيِّكَ۔
jo hadyah hain tere Wali ki baargaah mein
Us Imam Alaihissalam ka naam le jin ko namaz hadiya kar raha hai.
فَصَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهٖ وَ بَلِّغْهُ اِيَّاهَا
Tu Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma aur un raka'aton ko unki baargaah tak pahunchaa de
وَاَعْطِنِىْ اَفْضَلَ اَمَلِىْ وَ رَجَاۤئِىْ فِيْكَ وَ فِىْ رَسُوْلِكَ
Aur mujhe woh kuch inaayat farma jo meri umeed aur meri khwaahish tere
صَلَوَاتُكَ عَلَيْهِ وَ اٰلِهٖ۔
aur tere Rasool ke baare mein hai.
Is ke baad jo du'a chahe kar sakta hai.