Sheikh Abbas Qummi ra farmate hain ke Istikhara ke ma'ni hain khair talab karna lehaza insaan jo bhi kaam karna chahe us ke liye Khuda-wand Aalam se khair wa aafiyat talab kare. Aur riwayat hai ke namaz-e-shab ke aakhri sajda mein bhi khair talab kare aur sau martaba:
اَسْتَخِيْرُ اللهَ بِرَحْمَتِهٖ۔
Ab yeh kaam karoon Khuda ki rehmat ke waaste se
Aur isi tarah naafila-e-subah ki aakhri raka'at aur zawaal ke nawaafil ke har raka'at mein talab-e-khair karna mustahab hai.