EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaz-e-Kaamila
20. Yaad rakho ke Roz-e-Juma ke liye naafila ke alaawa bees raka'at aur hai jis ki kaifiyat bana bar mash'hoor yeh hai ke chheh raka'at tuloo'-e-aaftaab ke thode baad padhe, chheh raka'at naashte ke waqt aur chheh raka'at nazdeek zawaal aur do raka'at ba'd az zawaal Namaz-e-Juma se pehle ya yeh ke ibtedaai chheh raka'at Namaz-e-Juma ya Zohr ke baad padhe jaisa ke kutub-e-fuqaha mein naql kiya gaya hai. Is ke alaawa bhi bahut si namazein hain jin mein se ba'z ka yahan zikr kiya ja raha hai agarche un mein se bahut si namazein Juma ke saath makhsoos nahin hain lekin Juma ke din bahar haal un ka adaa karna zyada afzal hai, jin mein se sab se pehli:
اَستَغفِرُاللهَ
Mein apnay Rabb say maghfirat ka taalib hoon
1. Namaz-e-Kaamila hai. Jise Janaab Sheikh Tusi ra, Sayyid ra, Shaheed ra aur Allama Hilli ra waghaira ne mo'tabar asnaad se Imam Ja'far Sadiq a.s. se naql kiya hai ke apne aabaa' wa ajdaad ke hawaale se Rasool-e-Akram (S) ka yeh irshaad naql kiya hai ke jo shakhs Juma ke din Zohr se pehle chaar raka'at namaz adaa kare aur har raka'at mein (1) Surah al-Faatehah 10 martaba, (2) Surah al-Nas (No. 114) 10 martaba, (3) Surah al-Falaq (No. 113) 10 martaba, (4) Surah al-Tawheed (No. 112) 10 martaba, (5) Surah al-Kafirun (No. 109) 10 martaba, (6) Ayah al-Kursi (2:155) 10 martaba, padhe ya doosri riwayat ki bina par (7) Surah al-Qadr (No. 97), (8) Ayat Shahidallah (3:18-19) ko bhi das martaba padhe aur chaar raka'at namaz tamam karne ke baad istighfaar kare aur sau martaba
سُبْحَانَ اللهِ
Paak-o-Paakeezah hai woh Khuda
وَالْحَمْدُ لِلّٰهِ
Hamd Khuda hi kay liye hai
وَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ
Aur us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
وَاللهُ اَكْبَرُ
Woh sab say Buzurg hai.
وَ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللهِ الْعَلِیِّ الْعَظِیْمِ۔
Aur nahin koi quwwat-o-taaqat magar woh jo Khudaay-e-Buzurg-o-Bartar say hai.
keh kar sau martaba salawat padhe. Parwardigaar us se tamam ahl-e-zameen wa aasmaan, shayaateen aur hukkaam-e-zaalim ke shar ko door kar dega. Is ke alaawa aur bhi fazaa'il is namaz ke naql kiye gaye hain.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
Doosri Namaz
2. Namaz-e-Haaris Hamdani jise Haaris ne Ameer-ul-Momineen a.s. se naql kiya hai ke agar mumkin ho to Juma ke din das raka'at namaz padho aur ruku wa sujood ko behtareen tareeqa se anjaam do aur har do raka'at ke baad sau martaba:
سُبْحَانَ اللهِ وَ بِحَمْدِهِ۔
Paak-o-Paakeezah hai woh Khuda aur hamd usi kay liye hai
kaho ke is namaz ki be-hisaab fazeelat hai.
Teesri Namaz
3. Woh namaz jise mo'tabar sanad ke saath Imam Ja'far Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai ke jo shakhs bhi Surahs Ibrahim (No. 14) aur al-Hijr (No. 15) ko Juma ke din do raka'aton mein alag alag padhe woh zindagi mein pareshan deewanah aur bala mein mubtila nahin ho sakta hai.