EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Asr Roz-e-Juma ke A'maal
27. Riwayat mein hai ke Juma ke din salawat ka behtareen waqt Namaz-e-Asr ke baad hai jab sau martaba is tarah kehna chahiye.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ وَ عَجِّلْ فَرَجَهُمْ۔
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma aur un kay sukoon mein ta'jeel farma.
Sheikh ra ne farmaya hai ke mustahab hai ke sau martaba yeh salawat padhe
صَلَوَاتُ اللّٰهِ وَ مَلَاۤئِكَتِهِ
Allah, malaa'ikah,
وَ اَنْبِيَاۤئِهِ وَ رُسُلِهِ
anbiyaa, mursaleen
وَ جَمِيْعِ خَلْقِهِ
aur tamaam makhlooqaat ki salawaat
عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدَ
Hazrat Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par ho
وَ السَّلَامُ عَلَيْهِ وَ عَلَيْهِمْ
aur salaam ho un par aur un tamaam hazraat par
وَ عَلٰى اَرْوَاحِهِمْ وَ اَجْسَادِهِمْ
aur un ki arwaah-o-ajsaam par
وَ رَحْمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُهُ۔
aur Allah ki tamaam rehmat-o-barkat unhin kay liye hai.
Sheikh Jaleel Ibn-e-Idrees ne Kitaab Saraa'ir mein Jaame' Bazanti se naql kiya hai ke Abu Baseer ka bayan hai ke maine Imam Ja'far Sadiq a.s. ko yeh farmate suna hai ke Zohr wa Asr ke darmiyan sattar 70 raka'at namaz ke barabar hai aur agar koi shakhs Asr Roz-e-Juma ke baad kahe.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
الْاَوْصِيَاۤءِ الْمَرْضِيِّيْنَ
jo teray pasandeedah awsiyyaa hain
بِاَفْضَلِ صَلَوَاتِكَ
apni behtareen rehmaton kay saath
وَ بَارِكْ عَلَيْهِمْ
aur un par barkat naazil farma
بِاَفْضَلِ بَرَكَاتِكَ
apni behtareen barkaton kay saath
وَ السَّلَامُ عَلَيْهِمْ
Salaam ho un par
وَ عَلٰى اَرْوَاحِهِمْ وَ اَجْسَادِهِمْ
aur un kay arwaah-o-ajsaam par
وَ رَحْمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُهُ۔
aur Allah ki rehmat-o-barkat sab unhin hazraat kay liye hai.
To us shakhs ko us din ke jinnat wa insaan ke tamam a'maal ke barabar sawaab ata kiya jaayega. Mu'allif ka bayan hai ke hadees ke buzurgon ki kitaabon mein intehaai mo'tabar asnaad ke saath aur be-shumaar fazeelaton ke saath waarid hui hai aur agar ise das martaba ya saat martaba padhe to behtar hai. Is liye ke Imam Sadiq a.s. se riwayat hai ke jo shakhs bhi Roz-e-Juma Asr ke baad apni jagah se uthne se pehle das martaba is salawat ko padhe us par Juma se Juma tak isi saa'at mein farishte salawat padhte rahenge. Neez inheen Hazrat se riwayat hai ke Juma ke din Namaz-e-Asr ke baad is salawat ko padho.
Sheikh Kulayni ra ne Kaafi mein riwayat ki hai ke har Juma ke din namaz adaa karne ke baad is tarah salawat padho.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
الْاَوْصِيَاۤءِ الْمَرْضِيِّيْنَ
jo teray pasandeedah awsiyyaa hain
بِاَفْضَلِ صَلَوَاتِكَ
apni behtareen salawaat
وَ بَارِكْ عَلَيْهِمْ
aur behtareen barakaat
بِاَفْضَلِ بَرَكَاتِكَ
unhein 'ataa farma.
وَ السَّلَامُ عَلَيْهِ وَ عَلَيْهِمْ
Un par tera salaam
وَ رَحْمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُهُ ۔
aur teri rehmat-o-barkat ho.
Jo shakhs bhi Juma ke din Namaz-e-Asr ke baad is salawat ko padhega, Parwardigaar use ek laakh nekiyan inaayat karega. Aur us ke ek laakh mahv kar dega aur agar ki ek laakh haajatein poori kar dega aur us ke ek laakh darajaat buland kar dega.
Neez Sheikh ra ne farmaya hai ke riwayat mein yeh bhi waarid hua hai ke jo shakhs is salawat ko saat martaba padhega, Parwardigaar use har banda ke barabar neki inaayat farmayega aur us ke a'maal us din mein maqbool honge aur Roz-e-Qiyamat is shaan se aayega ke us ki peshaani se noor saati' hoga.
Insha woh Roz-e-Arafa ke a'maal ke zail mein ek salawat ka aur zikr hoga jis ka padhne wala Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) ki khushnudi ka haqdaar hoga. 28. Namaz-e-Asr ke baad sattar martaba kahe:
اَسْتَغْفِرُ اللهَ رَبِّىْ وَ اَتُوْبُ اِلَيْهِ۔
Mein tujh say ma'aafi chahta hoon aur teri baargaah mein taubah karta hoon.
Taa ke Parwardigaar us ke tamam gunaahon ko mu'aaf kar de.
29. Sau martaba Surah Inna Anzalnaahu padhe ke Imam Musa Kazim a.s. se riwayat hui hai ke Parwardigaar ki taraf se Roz-e-Juma ke liye hazaar naseem-e-rehmat hai jis mein se har banda ko apni mashiyat ke mutabiq ata farmata hai lekin agar koi shakhs Asr Roz-e-Juma ke baad sau martaba Inna Anzalnaahu padh le to Parwardigaar hazaar mein bhi izafa kar deta hai.
30. Dua al-Ashraat, padhe jis ka zikr us ke baad aane wala hai. 31. Sheikh Tusi ra ka irshaad hai ke qabooliyat-e-du'a ki saa'at Roz-e-Juma ki aakhri saa'at hai lehaza is waqt zyada du'a karni chahiye. Riwayat mein yeh bhi waarid hua hai ke waqt-e-qabooliyat woh waqt hai jab aadha sooraj doob jaaye ke Janaab Fatima a.s. aise hi waqt mein du'a farmaya karti theen. Aur mustahab hai ke is waqt mein woh du'a padhe jo Rasool-e-Akram (S) se naql ki gayi hai.
سُبْحَانَكَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Paak-o-Paakeezah hai tu ay Khuda teray 'ilaawah koi Ma'bood nahin hai.
يَا حَنَّانُ يَا مَنَّانُ
Ay Mehrbaan Ay Muhsin
يَا بَدِيْعَ السَّمَاوَاتِ وَ الْاَرْضِ
Ay aasman-o-zameen kay paida karnay waalay
يَا ذَا الْجَلَالِ وَ الْاِكْرَامِ۔
Ay Saahib-e-Jalaal-o-Ikraam.
Is ke alaawa Roz-e-Juma ki aakhri saa'at mein Dua al-Simat bhi padhe jis ka zikr aayindah aane wala hai.