Rauza-e-Mubaarak Imam Raza a.s. Baargaah-e-Maqbooliyat-e-Haajat
Mu'allif: Is jagah par chand mataalib ka zikr kar dena zyada munaasib hai.
1. Sanad mo'tabar se Imam Ali Naqi a.s. se naql kiya gaya hai jo shakhs bhi Khuda ki baargaah mein koi haajat rakhta ho woh hamare jadd Imam Raza a.s. ki sheher Toos mein is tarah ziyarat kare ke ghusl karne ke baad Hazrat ke baala-e-sar do raka'at namaz adaa kare aur qunoot mein apni haajat talab kare. Yaqeenan Parwardigaar us du'a ko qabool karega agar kisi gunaah aur qat'-e-reham se muta'alliq nahin hai. Yaqeenan Hazrat ki qabr ki jagah Jannat ke buq'aat mein se ek buq'ah hai aur jab bhi koi momin us ki ziyarat karta hai Parwardigaar us ko Aatish-e-Jahannam se azaad kar deta hai aur Jannat mein daakhil kar deta hai.