Shah Abbas ka Imam Raza a.s. ki ziyarat ke liye paidal jaana
4. Saahib-e-Matla'-ush-Shams ne naql kiya hai ke 25 Dhū al-Hijjah 1006 Hijri mein Shah Abbas Awwal waarid-e-Mashhad Muqaddas hua to dekha ke Haram Mutahhar ko Abdul Mu'min Khaan Uzbeki ne ghaarat kar diya hai aur siwaaye ek hujra ke aur kuch nahin chhod a hai. Chunanche woh 28 Dhū al-Hijjah ko Mashhad se Hiraat gaya aur Hiraat ko fateh karne ke baad jab wahaan se waapas Mashhad aaya to ek maah qiyaam kar ke sahn-e-muqaddas ki marammat karaai, khuddam-e-Haram Mubaarak ke saath behtareen bartaa'o kiya phir Iraq waapas aaya aur aakhir 1008 Hijri mein dobaarah Mashhad Muqaddas ki ziyarat ko gaya aur sardiyan wahaan guzaarin aur Haram-e-Tohur ki khidmat karta raha. Raat ko sham'a ka gul jhaadta tha. Is ke baare mein Sheikh Baha'i ne fi'l-badee'h yeh rubaa'i likhi thi.
“Malaa'ika-e-Samawaat musalsal sham'a-e-Rauza-e-Khuld Aa'een ke parwaane bane hue hain. Aye khaadim-e-Maula qainchi ko aahista chalaana kahin aisa na ho ke shehpar-e-Jibreel-e-Ameen qat' ho jaayen.”
Aur 1009 Hijri mein Shah Abbas apni nazr ki bina par paidal Mashhad Muqaddas ki ziyarat ke liye haazir hua aur attha'ees 28 din mein taweel musaafat tai ki jis ke baare mein Saahib-e-Taarikh-e-'Aalam Aara ne yeh ash'aar naql kiye hain.
“Shah Marwān ka ghulaam Shah Abbās jo wālā guhar aur Khāqān-e-amjad hai. Woh tawāf-e-marqad-e-Shāh-e-Khurāsān ke liye ikhlās-e-bēhad ke saath paidal gaya aur paidal jaana hi us ki taarīkh ban gaya ya'ni "Za Isfahān payāda tā ba Mashhad 1009."
Mashhad Muqaddas pahunchne ke baad sahn mubaarak ko wus'at di aur Ali Sher ke aiwaan ko jahaan se dargah Rauza-e-Mubaarak ka aaghaz hota tha aur ek gosha mein tha aur bad numa ma'loom hota tha use darmiyaan mein qaraar de kar woh aiwaan jo us ke muqaabla mein doosri taraf tha us ko bhi banaaya aur gharbi sheher se mashriqi darwaaza tak raaste bana diye jo har taraf se us sahn tak pahunchte hain aur phir chashme aur nehre jaari kar ke sheher tak pahuncha dein. Ek nehr beech khiyaabaan se aur ek bada hau z wast-e-sahn mein banaaya jis ka paani hau z se guzar kar mashriqi sadak ki taraf jaata tha.