EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Qabr-e-Mubaarak Husain a.s. bin Ali Naqi Alaihissalam
Mu'allif: Ma'roof hai ke Qabr-e-'Askariyain a.s. ke paas bahut se sadaat-e-'izaam ki qabrein bhi hain jin mein se Husain a.s. bin Imam Ali Naqi a.s. bhi hain jin ki tafseeli haalaat to nahin ma'loom lekin jaisa ke khayaal hai ke woh Sayyid Jaleel-ul-Qadr aur Azeem-ush-shaan the is liye ke ba'z riwaayaat se yeh ma'loom hota hai ke Imam Hasan 'Askari a.s. aur un ke bhai Husain bin Ali ko Sibtain kaha jaata tha jin ki tashbeeh Imam Hasan a.s. aur Imam Husain a.s. se di jaati thi. Aur riwayat Abū al-Ṭayyib mein hai ke Imam-e-'Asr a.s. ki aawaaz Husain a.s. se milti julti thi aur Shajrat-ul-Awliyaa ta'leef Sayyid Faqeeh Muhaddith Hakeem Ardakaani Yazdi ra mein Aulaad-e-Imam Ali Naqi a.s. ke zail mein naql kiya gaya hai ke Hazrat ke farzand Husain 'Aabidon aur Zaahidon mein the aur apne bhai ki imaamat ke mu'tarif the. Shaayad koi talaash karne waala aur bhi kuch haalaat talaash kar sake jo un ki jalaalat ko mazeed waazih kar sakein.