EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Murdon ke liye Hadiya Bhejne ki Ta'keed
Is ke baad Sayyid ra ne farmaya hai ke jis waqt insaan qabristaan mein quboor-e-momineen ke darmiyaan rahe to gyārah martaba Surah Qul Huwallāhu padhe aur us ka sawaab amwaat ko hadiya kar de. Riwayat mein waarid hua hai Parwardigaar use un tamaam murdon ke baraabar sawaab deta hai jo is qabristaan mein hain. Kāmil-uz-Ziyārāt mein Imam Ja'far Sadiq a.s. se riwayat hai ke Aap ne farmaya ke "Agar ṭulū'-e-āftāb se pehle murdon ki ziyarat karo to woh sun bhi lete hain aur jawāb bhi dete hain aur agar ṭulū'-e-āftāb ke baad ziyarat karo to sun lete hain magar jawāb nahin dete hain" Da'wāt Rawandī mein ek hadees hai jo Rasool-e-Akram (S) se manqool hai ke "Raat mein ziyarat na kiya karo." Majmū'ah Sheikh Shahid ra mein Rasool-e-Akram (S) se naql kiya gaya hai koi shakhs kisi qabr ke paas agar teen martaba yeh fiqrāt kehta hai
اَللّٰهُمَّ اِنِّيۤ اَسْاَلُكَ
بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
اَنْ لَا تُعَذِّبَ هٰذَا الْمَيِّتَ
to Parwardigaar khud us se bhi Roz-e-Qiyaamat azaab ko door kar deta hai. Jāmi'-ul-Akhbār se naql kiya gaya hai ke ba'z aṣḥāb ne Rasool-e-Akram (S) ke hawaala se bayan kiya ke Hazrat ne farmaya ke "Apne murdon ke waaste hadiya bhejo" hum ne arz ki "Murdon ka hadiya kya hai?" Farmaya "Ṣadqa aur du'a" ke arwāḥ-e-momineen Juma ko aasmaan-e-dunyā par apne gharon ke saamne tak aati hain aur intehaai dardnāk āwāz ke saath āwāz dete hain. "Aye mere ghar waalo! Aye meri aulaad! Aye mere maa baap! Aye mere aqribā! Mere haal par meherbani meherbani karo un amwāl se jo mere haathon mein the aaj un ka hisāb hamare zimma hai aur us ka nafa' doosron ke waaste hai" aur is ke baad apne aqribā ko āwāz dete hain ke "Hum par ek dirham, ek tukda roṭī ya ek kapde ke zariye meherbani karo ke Parwardigaar tum ko libās-e-behisht 'ināyat karega." Yeh keh kar Rasool-e-Akram (S) ne girya farmaya aur hum sab bhi rone lage aur Aap shiddat-e-girya ki binā par kuch na farma sake. Is ke baad farmaya ke "Yeh tumhare barādarān-e-dīnī hain jo paiwand-e-khāk ho gaye hain surūr wa ne'mat ki zindagi guzaarne ke baad. Ab yeh apne waaste azaab wa halākat ko dekh kar faryād kar rahe hain aur kehte hain 'Wā'e ho hamare haal par. Kaash jo hamare paas tha us ko hum ne khud hi itaa'at wa razā ki raah mein sirf kar diya hota taa ke aaj tumhare muḥtāj na hote.'" Aur yeh keh kar hasrat wa pashemānī ke saath waapas chale jaate hain aur phir āwāz dete hain. "Aye ahl-e-khāna apne murdon ka sadqa jaldi bhejo." Inheen Hazrat se riwayat hai ke Aap ne farmaya ke jo sadqa murdah ke waaste diya jaata hai use ek malak ṭabaq-e-nūr mein rakh kar le jaata hai aur saathwein āsmān tak pahunch jaata hai aur us ke liye 'Yeh tumhare ghar walon ne tumhare waaste hadiya bheja hai.' To murdah us ke baad use le kar apni qabr mein chala jaata hai aur us ke nateeja mein us ki qabr mein wus'at paida ho jaati hai. Farmaya "Āgāh raho jo shakhs bhi kisi murdah par sadqa ke zariye meherbani karega Parwardigaar ke yahan us ka ajr koh-e-Uḥud ke mānind hai aur Roz-e-Qiyaamat woh sāya-e-'Arsh-e-Ilāhī mein rahega jis din siwaaye Khuda ke aur kisi ka sāya na hoga." Yaad rakho ke isi sadqa se zinda wa murdah donon ko nijaat haasil hoti hai aur yeh bhi riwayat hai ke Amīr-e-Khuraasaan ko khwaab mein dekha gaya jo keh raha tha ke "Mere waaste wohi bhej do jo apne kutton ke saamne daal diya karte ho. Main fil haal us ka bhi muḥtāj hoon."