EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Muqni'ah mein Imam Sadiq a.s. se riwayat hai ke jo shakhs hamari ziyaarat karega us ke gunaah bakhsh diye jaayenge aur woh faqeer wa pareshan dunya se nahin ja sakta.
Sheikh Tusi ra ne Tahzeeb mein Imam Hasan Askari a.s. se riwayat ki hai ke jo Imam Sadiq a.s. ki ziyaarat kare aur un ke Padar-e-Buzurgwaar Imam Baqir a.s. ki ziyaarat kare woh kisi beemaari, dard aur takleef mein mubtila nahin ho sakta hai.
Ibn-e-Qaulawayh ne Kaamil-uz-Ziyaaraat mein ek toolani hadees Hishaam bin Saalim ke hawaala se Imam Sadiq a.s. se riwayat ki hai jis ke fiqraat mein yeh hai ke ek shakhs Imam Sadiq a.s. ki khidmat mein haazir hua aur us ne arz ki ke kya Aap ke waalid ki ziyaarat karni chahiye? Farmaya yaqeenan. Arz ki ziyaarat karne waale ko kya ajr milne waala hai? Farmaya ke behisht us ke liye hai agar Aap ki imaamat ka e'teqaad bhi rakhta ho aur Aap ke ehkaam ki itaa'at bhi karta ho. Arz kiya ke agar koi shakhs us ziyaarat se kinaara kashi kar le to us ka anjaam kya hoga? Farmaya us ke muqaddar mein Roz-e-Qiyaamat hasrat hi hasrat hai. Gharz is baab mein ahaadees bahut hain aur aur meri nazar mein itni hi miqdaar kaafi hai.