EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Auqaat Ziyarat Imam Husain a.s.
Mu'allif ka bayan hai ke Ziyarat Imam Husain a.s. mukhtalif shareef auqaat aur baa-barkat roz wa shab mein mazkoorah auqaat ke alaawa bhi behtareen amal hai. Khaas tareeqa se yeh woh auqaat jin ki koi bhi nisbat Hazrat ki taraf hai jaise Roz-e-Mubaahila, Roz-e-Wilaadat Hazrat aur Shab-haa-e-Juma ki riwaayaat se ma'loom hota hai ke Parwardigaar har Shab-e-Juma Aan Hazrat par ek khaas nazar-e-lutf karta hai aur tamaam Paighambaraan aur Awsiyyaa ko Aap ki ziyarat ke liye bhejta hai jaisa ke Ibn-e-Qaulawayh ra ne Imam Sadiq a.s. se riwayat ki hai ke jo shakhs har Roz-e-Juma Imam Husain a.s. ki ziyarat karega us ke saare gunaah bakhsh diye jaayenge aur woh dunya se koi hasrat le kar na jaayega aur us ka maskan behisht mein Imam Husain a.s. ke saath hoga. Aur A'mash ki riwayat mein hai ke un ke humsaaya ne un se kaha ke maine khwaab mein dekha hai ke aasmaan se kuch parche ud kar neeche aa rahe hain jin mein Imam Husain a.s. ki Shab-e-Juma ziyarat karne walon ke liye amaan naama likha hua hai. Is ke baad A'maal-e-Kaazimeen ke zail mein Haaji Ali Baghdadi ki riwayat mein bhi is matlab ki taraf ishaara kiya jaayega. Aur ek riwayat ki bina par Imam Ja'far Sadiq a.s. se poochha gaya ke kya Ziyarat Imam Husain a.s. ke liye koi waqt khaas hai jo doosre auqaat se behtar ho? To farmaya ke jis waqt aur jis zamaana mein mumkin ho Hazrat ki ziyarat karo ke Aap ki ziyarat khair hai jo jis qadar baja laayega us qadar zyada khair ka haqqdaar hoga aur jo kam karega use kam khair milega. Koshish karo Aan Hazrat ki ziyarat ke liye behtareen auqaat mein ke is waqt naik amal ka sawaab bhi zyada ho jaata hai aur aasmaan se malaa'ika bhi Hazrat ki ziyarat ke liye waarid hote hain. Un makhsoos auqaat ke liye koi khaas ziyarat naql nahin hui hai. Sirf teesri Sha'baan ko jo Roz-e-Wilaadat Imam Husain a.s. hai ek du'a hai jo Imam-e-Zamana a.s. ki taraf se waarid hui hai ke is du'a ko padhe aur hum ne is du'a ko A'maal-e-Maah-e-Sha'baan mein zikr bhi kar diya hai. Yeh bhi ma'loom hai ke Aan Hazrat ki ziyarat Karbala ke alaawa doosre shehron se bhi behtareen fazeelat rakhti hai. Hum is jagah par Kaafi wa Tahzeeb wa Faqeeh se do riwaayatein naql karte hain.
Ziyarat-e-Imam Husain a.s. jab koi shakhs door ho ya musaafat zyada ho.
Ek riwayat Ibn-e-Abi Umair ne Hishaam se naql ki hai ke Imam Sadiq a.s. ne farmaya ke agar tum mein se kisi shakhs ka makaan hamari qabron se door ho aur musaafat zyada ho to use chahiye ke pusht-e-baam par jaa kar do raka'at namaz adaa kare aur salaam karne ke liye hamari qabron ki taraf ishaara kar ke salaam kare ke yeh salaam hum tak pahunch jaayega.
Doosri riwayat Hannaan bin Sadeer ki hai jinhon ne apne waalid se naql kiya hai ke Imam Sadiq a.s. ne farmaya ke Sadeer kya tum rozana Imam Husain a.s. ki ziyarat karte ho? Arz ki ke main Aap par qurbaan... Nahin. Farmaya kis qadar zulm karte ho. Achha kya har Juma ko ziyarat karte ho? Arz ki... Nahin. Farmaya har maheene mein ziyarat karte ho? Kaha nahin. Farmaya har saal ziyarat karte ho. Arz ki kabhi kabhi kayi barson ke baad ziyarat kar sakta hoon. Farmaya Sadeer tum ne Imam Husain a.s. par kis qadar ziyadati ki hai. Kya tum ko nahin ma'loom hai ke Parwardigaar ke bees laakh farishte hain aur Tahzeeb wa Faqeeh ki riwayat ki bina par das laakh farishte hain jin ke baal gard aalood hain aur woh Imam Husain a.s. par girya karte rehte hain. Aap ki ziyarat karte hain aur kabhi thakte nahin hain. Sadeer kya mushkil hai ke tum Imam Husain a.s. ki ziyarat karo. Har Juma ko paanch martaba aur har roz ek martaba. Sadeer ne arz ki ke Maula mere aur un ke darmiyan kayi farsakh ka faasla hai. Farmaya ke pusht-e-baam par chale jao, daahne baayein dekh kar aasmaan ki taraf sir utha kar Hazrat ki qabr ka iraada kar ke kaho
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَاۤ اَبَا عَبْدِ اللهِ،
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ وَ رَحْمَةُ اللهِ وَ بَرَكَاتُهُ۔
To tumhare waaste ziyarat darj kar di jaayegi aur yeh ziyarat Hajj wa Umrah ke barabar hai. Sadeer ka bayan hai ke aksar aisa hua hai ke maine is amal ko maheena mein bees 20 martaba se zyada anjaam diya hai. Bahar haal Ziyarat Mutlaqa ki pehli ziyarat ke zail mein bhi ba'z mataalib is maqaam ke munaasib haal zikr kiye ja chuke hain.