EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Do (2) Imamon ki Qabr-e-Mubaarak
Waazih rahe ke yeh donon buzurg apne hi ghar mein dafn hue hain aur us mein ek darwaaza tha jis ko apne chaahne walon ke liye khol diya karte the aur woh log qabr ke paas jaa kar ziyarat karte the aur kabhi band kar dete the to jaali ke paas qabr ke saamne khade ho kar ziyarat karte the. Is riwayat ke aaghaz mein yeh hai ke ghusl kare aur qabr ke paas pahunch jaaye agar mumkin ho aur agar nahin to qabr ke saamne jaali ke paas khade ho kar ishaara kar ke salaam kare aur isi tarah zaa'ir Namaz-e-Ziyarat ko bhi Masjid mein padhe. Is ke baad jab chaahne walon ki himmat se woh ghar khatm kar diya gaya aur us jagah par qubba wa Haram aur riwaaq wa aiwaan ban gaya to woh Masjid Haram mein daakhil ho gayi aur aaj ma'roof yeh hai ke Aiwaan-e-Mustateel jo sahn-e-pusht-e-sar-e-Imam a.s. hai woh muttasil hai usi Masjid ke riwaaq se. Baharhaal zuwwaar is e'tebaar se mutma'in ho gaye.