EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Shab-e-Juma ki Ahmiyat
Tamaam ta'reefain Allah ke liye hain jo ka'inaat ka Parwardigaar hai. Hamara salaam aur rehmatain hon us ke aakhiri Nabi wa Rasool, Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam aur un ki paak Ahl-e-Bait par jis ke zariye Allah ne insaaniyat ki hidaayat ki.
Allah Rabb-e-'Izzat ne hamein Qur'an-e-Kareem mein in aayaton ke zariye du'a ki da'wat di hai, "Aur tumhara Parwardigaar kehta hai, tum mujhe pukaaro, main tumhein jawaab doonga, beshak jo meri 'ibaadat mein takabbur karta hai woh anqareeb jahannam mein daakhil kiya jaayega."
Ek doosre maqaam par Allah Tabarak Wa Ta'ala farmata hai, "Aur jab mera banda tum se mere baare mein poochhe to yaqeenan main bahut qareeb hoon. Main pukaarne waale ke sawaal ka jawaab deta hoon jab woh mujhe pukaarta hai."
Yeh aayatain do pehluon ko ujaagar karti hain. Pehla, Allah ne hamein use du'aon ke zariye talab karne ka hukm diya hai. Doosre, us ne apne liye laazim kiya hai ke darkhwāst ka jawaab de.
Jab du'a ki baat aayi hai to ek banda apne Khuda se apni zabaan aur apne alfaaz mein raabta kar sakta hai. Magar behtar yeh hai ke banda Khuda ki taraf Rasool-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam aur Ma'soom Aimma Alaihimussalam ke sikhaye hue alfaaz ke zariye palaṭe.
Du'a'ein Rasool-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam aur Ahl-e-Bait Aimma Alaihimussalam ki ta'leemaat ka laazmi juzv hain. Riwaayaat ke khazaane ke siwa, Shi'a maktab-e-fikr ke paas Ahl-e-Bait Alaihimussalam ki ta'leem kardah du'aon ki bahut badi daulat hai. Yeh du'a'ein khud Uṣūl-e-Deen aur Furū'-e-Deen ki taraf hidaayat karti hain. Apni du'aon ki zariye Ahl-e-Bait Alaihimussalam ne hamein Tauheed-e-Khuda aur Rasool-e-Khuda wa Ahl-e-Bait ki maqaam wa manzil sikhaya aur Roz-e-Qiyaamat ka khauf aur umeed hamare andar murattab kiya. Du'a'ein insaan ko Allah ki taraf laati hain naik a'maal ke zariye, burā'iyon ko tark karke aur a'lā akhlāq wa adab ke zariye Khuda ki razā haasil karke.
Is baat mein koi ta'ajjub nahin hai ke Ahl-e-Bait Alaihimussalam ki taraf se Allah ki taraf du'aon ke zariye palaṭne ki ta'keed ki gayi hai. Phir Aap ne apni riwaayaat ke zariye du'a ki ahmiyat, du'aon ke zariye talab karne ki ahmiyat, du'aon ki qabooliyat ke behtareen auqaat wa maqaamaat aur us ke faayde par roshni daali hai.
Rasool-e-Khuda Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam ne apne ashaab se poochha, "Kya main tumhein aisa hathyaar bataoon jo dushman se tumhari hifāzat kare aur tumhare rizq mein wus'at ka sabab ho?" Ashaab ne kaha, "Jee haan, aye Paighambar-e-Khuda." Aap ne farmaya, "Apne Khuda ko din wa raat pukaaro, kyunki du'a momin ka hathyaar hai."
Imam Zainul Aabideen Alaihissalam ne farmaya, "Du'a'ein balaa'on ko ṭaal deti hain, jo naazil ho chuki hain aur jo abhi tak naazil nahin hui hain."
Du'a-e-Kumail ke aakhiri hisse mein Ameer-ul-Momineen Ali Ibn-e-Abī Ṭālib Alaihissalam se hum yeh jumle paate hain, "Use bakhsh de jis ke paas du'a ke siwa kuch nahin hai." Yeh jumla hamare liye bahut ahem sabaq hai. Aur shab-e-Juma ke a'maal ke liye maangne ka aasaan saleeqa sikhata hai.
Allah ki faḍl se hamein chahārdah Ma'soomeen Alaihimussalam ne tamaam mawāqe', auqaat, jagah aur zarooriyāt ke mutabiq du'a'ein marḥamat farmaai hain.
Du'aon ki qabooliyat ke liye us ke maqaamaat ki bahut zyada ta'keed ki gayi hai. Misaal ke taur par, du'a ki qabooliyat Masjid aur 'ibaadat gāhon jaise Mazaar-e-Muqaddas Imam Husain Alaihissalam aur doosre Aimma Alaihimussalam ke mazaar, mein bahut zyada baṛh jaati hai. Imam-e-Sadiq Alaihissalam farmate hain, "Allah Tabarak Wa Ta'ala ne du'aon ki qabooliyat ke liye kuch zameeno ko makhsoos kiya hai aur Mazaar-e-Muqaddas Imam Husain Alaihissalam un mein se ek hai." Is baat ki bhi ta'keed ki gayi hai is ki qabooliyat ke liye bhi du'a ki jaaye.
Isi tarah Imam Alaihissalam ne makhsoos auqaat bhi ta'leem farmaaye hain du'aon ki qabooliyat ke. Misaal ke taur par Namaz-e-Subh ke waqt, Namaz-e-Shab ke waqt, Juma ke din aur Jume'raat ke din ki shaam ya Shab-e-Juma.
Abu 'Abdullah Imam Sadiq Alaihissalam farmate hain, "Sooraj Juma se behtar kisi din par nahin chamka. Jab aasmaan ke parinde is din aapas mein milte hain to ek doosre ko yeh keh kar mubaarakbaad dete hain, 'Yeh kitna behtareen din hai.'"
Imam Baqir Alaihissalam, ne Shab-e-Juma ki ahmiyat ke baare mein bayan karte hue farmaya,
Is mukammal raat, Allah pukaarta hai Aaya koi banda-e-momin hai jo ṭulū'-e-fajr se pehle mujh se apni dunya aur aakhirat ke liye koi du'a kare taa ke main us ki du'a ko qabool karoon? Aaya koi banda-e-momin hai jo ṭulū'-e-fajr se pehle mujh se apne gunaahon se tawbah kare taa ke main us ki tawbah ko qabool karoon? Aaya koi banda-e-momin hai jis ki rozi tang ho aur woh ṭulū'-e-subh se pehle sawaal kare aur main us ke rozi mein wus'at paida kar doon. Aaya koi banda-e-momin hai jo beemaar ho aur woh ṭulū'-e-fajr se pehle mujh se sawaal kare aur main use shifa 'ināyat kar doon. Aaya koi banda-e-momin hai jo giriftaariyon mein mubtala ho aur woh ṭulū'-e-fajr se pehle mujh se sawaal kare aur main use qaid se rihaai dila doon. Aaya koi banda-e-momin hai jo mazloom ho aur woh ṭulū'-e-fajr se pehle mujh se sawaal kare ke main use zaalim ki qaid se nijaat dila doon aur us ke haq ka intiqām le kar us ka haq use dila doon. Jab Janāb-e-Ya'qūb Alaihissalam ke beṭon se apne waalid se Khuda se gunaahon ki mu'aafi ka mutaalba kiya, Hazrat-e-Ya'qūb ne farmaya, 'Main tumhare liye apne Parwardigaar se maghfirat talab karunga.' Is aayat ki tafseer mein Imam-e-Sadiq Alaihissalam ne farmaya Hazrat Ya'qūb ne istighfaar ko Shab-e-Juma ki fajr tak multavi kar diya.
Yeh aayat aur riwayat jahaan par talab-e-maghfirat ke liye is raat ki ahmiyat par roshni daalti hain wahin par Allah ki baargaah mein Rasool-e-Akram ya Aimma Alaihimussalam ko talab-e-maghfirat ke liye wasīla banaane ki ahmiyat ko bhi ujaagar karti hain.
Is tarah se bahut se waaqi'āt aur riwaayaat Shab-e-Juma ki qadr wa qeemat ko bayan karte hain. Hamare 'ulamaa ne riwaayaat ki roshni mein teen ahem nukaat bayan kiye hain jinhein is raat apne dimaagh mein rakhna zaroori hai. Pehla - Hamein apni maut ko yaad rakhna chahiye. Doosre - Hamein Imam Husain Alaihissalam aur jo hawādis Aap par aur Aap ke ahl-e-khandaan par ronumah hue un ko yaad rakhna chahiye.
Teesre - Hamein Imam Mehdi 'ajjallallāhu ta'ālā farajahu ash-sharīf ko yaad rakhna chahiye, jo hamare zamaane ke Imam hain.
In tamaam cheezon ki 'aqlī dala'il hain, maut ka zikr hamare andar khushoo wa khuzoo paida karta hai. Yeh hamein is 'aarizi dunya se rokta hai aur Allah ki taraf palaṭta hai.
Imam Husain Alaihissalam ka zikr hamare andar umeed aur Islaam ke liye qurbānī ka jazba paida karta hai. Riwaayaat hamein yaad dilaati hain ki har Jume'raat ki raat Rasool-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam, Aimma Alaihimussalam aur Janāb-e-Zahra Salamullāh 'alaihā Karbala mein rehte hain. Aur Aap par salaam karte hain aur Aap ke oopar guzre waaqi'āt par ghamgeen hote hain. Lehaza agar hum Imam Husain Alaihissalam ke muḥibb hain to yeh hamari zimmedari hai ke hum dunya mein jahaan par bhi hon hamein bhi isi tarah karna chahiye.
Imam Mehdi 'ajjallallāhu ta'ālā farajahu ash-sharīf ka zikr hamein yeh yaad dilaata hai ki har Shab-e-Juma hamare a'maal Aap ki khidmat mein pesh hote hain. Hamare achche a'maal ko dekh kar Aap muskuraate hain aur hamare gunaahon ko dekh kar girya karte hain aur hamare liye talab-e-maghfirat karte hain. Yeh hamein bedaar bhi karta hai ki is din Aap ka zuhoor mutawaqqi' hai. Lehaza har Shab-e-Juma ko yeh du'a karni chahiye ki yeh shab ghaibat-e-Imam ki aakhiri shab ho aur us ki fajr Aap ke zuhoor ki khush khabarī ke saath ho.
Azīz barādarān, hamari ḥayāt maḥdūd hai aur maut yaqīnī hai. Lehaza yeh bahut ahem hai ki jo mauqa' Allah Tabarak Wa Ta'ala ne hamein diya hai us ka behtareen iste'maal kiya jaaye taa ke hum khud ko du'aon se joṛ sakīn, us ki taraf palaṭein khushoo ke saath, apni jā'iz ḥājāt ko talab kar sakīn aur us ke saamne apni 'aajizī ka izhār karke us ki razā haasil kar sakīn. Shab-e-Juma woh ne'mat hai jis ke zariye hum yeh tamaam cheezein haasil kar sakte hain.
Khuda-wand 'Ālam se du'a karein ke woh hamein taufeeq ataa kare ke jab tak ḥayāt hai is ne'mat ka behtareen iste'maal kar sakīn. Āmīn!