Roz-e-Aakhir Maah-e-Dhī al-Qa'dah
Aakhir Maah-e-Dhī al-Qa'dah 220 Hijri mein ba-binā-e-mash'hoor Imam Muhammad Taqi a.s. ki shahaadat Mu'taṣim 'Abbāsī ke zehr ke zariye Baghdad mein waaqi' hui. Yeh taqreeban Ma'moon ke marne ke dhaai saal ke baad hua hai jaisa ke Imam farmaya karte the ke "Sukūn Ma'mūn ke tees maheene ke baad milega." Is ka matlab yeh tha ke Hazrat Ma'moon ke bartaa'o se is qadar aziyat mein the aur is qadar pareshaan the ke apni maut ko sukūn aur rāḥat se ta'beer farmate the. Jaisa ke Imam Ali Raza a.s. ne apne walī 'ahdī ke zamaana mein bhi aisa hi farmaya tha aur har Juma ko jab Masjid se waapas aate the to is haal mein ke paseena mein gharq aur ghubaar aalūd hote the apne haathon ko baargaah-e-Ilāhī mein buland kar ke farmaya karte the ke "Khudaaya agar mere liye sukūn wa rāḥat meri maut hi mein hai to meri maut mein ta'jīl farma." Hamesha gham wa ranj mein mubtala rehte the yahan tak ke is dunya se riḥlat hui. Imam Muhammad Taqi Alaihissalam ki 'umr shareef waqt-e-wafaat pachchees saal thi. Aap ki qabr athar Kaazimeen ki baqī'ah mubaarak mein hai. Ya'ni Aap apne jadd buzurgwaar Imam Musa Kazim Alaihissalam ke sarhaane dafn hue.