EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Fazilat Ziyarat Imam Zādāgān a.s.
Matlab Dovum: Ziyarat Imam Zādāgān wa Shāhzādāgān-e-Khaanwāda-e-Nubuwwat. Ke jin ki qabrein mahall-e-fuyūz wa barakaat aur maqaam-e-nuzūl-e-rehmat wa 'ināyat-e-Ilāhī hain 'ulamaa-e-i'laam ne tasrīḥ farmaai hai ke un ki qabron ki ziyarat mustahab hai aur Alhamdulillah ke Shi'on ke muta'addid shehron mein un ki qabrein maujood hain bal ke qariyon sahraa'on aur pahaadon par bhi un ki qabrein 'aajizon ke liye panaah gaah kamzoron aur mazlūmon ke liye maljā wa ma'wā hain aur murdah dilon ki zindagi ka baa'is hain aur taa-qiyaamat rahengi. Aur un se karaamaat bhi zaahir hote rahenge. Lekin waazih rahe ke jis Imam Zada ke fuyūz wa barakaat wa karaamaat ko haasil karne ke liye insaan iṭminān-e-qalb ke saath safar ki zehmatein bardaasht kar sakta hai us ke liye do cheezon ko baa-qā'idah tay kar lene ke baad un ke mazaaraat ka iraada karna chahiye.
1. Un ki jalaalat-e-qadr aur 'azmat ko pehchaan le ke woh sharaafat-e-nasab ke alaawa kin 'azmaton ke maalik hain jis ka tazkira kutub-e-ahaadees wa ansāb wa taarīkh mein maujood hai yeh ma'loom hona chahiye ke yeh qabr usi Jaleel ki hai aur us ki taraf nisbat sahih hai aur zaahir hai ke in donon baaton ka jama' hona bahut kam hoga. Hum ne Kitaab Hadiyyat-uz-Zā'ir mein chand hazraat ki taraf ishaara kar diya hai aur Naqshat-us-Sudoor aur Muntahā-al-Āmāl mein Hazrat Muḥsin bin Husain a.s. ki taraf ishaara kar diya hai. Magar chunke is maqaam par zyada gunjaa'ish nahin hai. Lehaza faqat do shakhsiyaton ka tazkira kiya jaa raha hai.