EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Fazilat wa Kaifiyat Ziyarat Ameer-ul-Momineen a.s.
Is maqaam par chand mataalib hain:
Matlab Awwal - Fazilat Ziyarat Ameer-ul-Momineen a.s.
Sheikh Tusi ra ne sanad sahih ke saath Muhammad bin Muslim ra se Imam Ja'far Sadiq a.s. ka yeh bayan naql kiya hai ke Khuda-wand Aalam ne malaa'ika se zyada koi makhlooq nahin paida ki hai aur yeh malaa'ika sattar hazaar (70,000) ki ta'daad mein naazil ho kar Bait-e-Ma'moor ka tawaaf karte hain aur wahaan se faarigh hone ke baad Khaana-e-Ka'ba ke tawaaf ko jaate hain aur Tawaaf-e-Ka'ba tamam karne ke baad qabr-e-Paighambar (S) par aakar salaam karte hain. Is ke baad qabr-e-Ameer-ul-Momineen a.s. par salaam karne ke haazir hote hain aur un sab ke baad qabr-e-Husain a.s. par aakar salaam karte hain aur aasmaan ki taraf waapas chale jaate hain aur is ke baad phir doosra giroh naazil hota hai aur yeh silsila Qiyamat tak yoon hi baaqi rahega. Phir farmaya ke jo shakhs Ameer-ul-Momineen a.s. ki ziyaarat kare aur Aap ke haq ka pehchaanta ho (ya'ni Aap ko Imam Waajib-ul-Itaa'at aur Khaleefa-e-Bila Fasl Paighambar (S) maanta ho) aur kisi ghuroor wa takabbur ki bina par ziyaarat ke liye na aaya ho to Parwardigaar us ke liye ek laakh shaheedon ka ajr inaayat farmata hai aur us ke tamaam guzhishta aur aaindah gunaahon ko mu'aaf kar deta hai aur Roz-e-Qiyaamat use is haal mein mahshoor karta hai ke haul-e-Qiyaamat se mahfooz rahe aur us ka hisaab aasaan ho jaaye aur malaa'ika-e-rehmat us ka isteqbaal karein aur jab ziyaarat se waapas ho to malaa'ika us ki mushai'yat kar ke use us ke ghar tak pahunchaayen aur agar beemaar ho jaaye to us ki iyaadat karein aur agar mar jaaye to us ke janaaza ke saath chalein aur us ke liye talab-e-maghfirat karte rahein.
Sayyid Abdul Kareem bin Ta'us ra ne Farhat-ul-Ghuri mein Aan Hazrat se riwayat ki hai ke jo shakhs paidal Ziyarat-e-Ameer-ul-Momineen a.s. ko jaaye Parwardigaar har qadam par ek Hajj ya Umrah ka sawaab aur agar paidal hi waapas aa jaaye to do Hajj aur do Umrah ka sawaab ata farmata hai.
Inheen Hazrat se riwayat hai ke Aap ne Ibn-e-Maard se farmaya ke jo shakhs hamare jadd Ameer-ul-Momineen a.s. ki ziyaarat un ke haq ko pehchaante hue kare Parwardigaar us ke liye har qadam par Hajj-e-Maqbool aur Umrah-e-Pasandeeda ka ajr inaayat farmata hai aur yaad rakho ke Aatish-e-Jahannam un qadmon tak nahin pahunch sakti jo raah-e-ziyaarat-e-Ameer-ul-Momineen a.s. mein ghubaar aalood ho gaye hon. Chahe insaan piyaada ziyaarat ke liye jaaye chahe sawaar ho kar jaaye. "Aye Ibn-e-Maard! Is Hadees ko aab-e-zar (liquid gold) se likh lo." Neez Imam Sadiq a.s. se riwayat hai ke pusht-e-Koofa par ek qabr hai jahaan koi bhi ranjeeda aur dardmand insaan agar panaah haasil karega to Parwardigaar us ko shifa inaayat farmayega.